WhatsApp Group Invitation Link Kaise Create Kare ?

Hi
Guys,
Aaj mai apko WhatsApp group ke invite link kaise create karte hai.uske bare me bataunga. Isse pahle ki post me maine aap logo ko bataya tha ki WhatsApp par group kaise banaye ?
Apko to pata hai ki Facebook ki tarah WhatsApp me bhi group banaye ja sakte hai, aur us WhatsApp group me invite link bhi create kiya ja sakta hai. Agar aap WhatsApp group invite link banane ke bare me soch rahe hai to ye post apke liye hi hai. WhatsApp kya hai aur kitna popular hai ye to har kisi ko pata hai, aaj kal har kisi ke pass smart phone aur usme unka WhatsApp account jarur rahta hai, aur we WhatsApp ke jariye free calling, message sending, Video ya Image sharing etc ka kaam WhatsApp ke madhyam se bahut aashani se kiye jate hai.



WhatsApp aaj bahut hi popular Messenger Application hai bilkul Facebook ki tarah WhatsApp me Facebook ki tarah hi group banaye ja sakte hai, aur usme kai members hote hai, aur WhatsApp group ke invite link bhi create kiye jate hai. Mujhe lagta hai ki aaj kal har kisi ke pass ek WhatsApp group bhi hai , aur us group ke liye invite link create karenge to bahut hi achha hoga. Agar apke pass WhatsApp group hai, aur aap chahte hai ki us group ke liye ek invitation link create kare.to ye aap sahi soch rahe hai, ye bilkul mumkin hai. To friends aiye sabse pahle jan lete hai ki akhir WhatsApp group ke invite link kya hai?

▶Ye Bhi Padhe-

▶ WhatsApp Group Invite Link Kya Hai ?

WhatsApp group invite link ek aisa feature hai. Jisse ham apne group invitation link ko social networking sites par kahi bhi share kar sakte hai. Jaise-Facebook, Twitter, Instagram, Google+ ya kisi bhi Blog, Website par invite link ko share kiye ja sakte hai. Ye ek invitation link hai, iske jariye aap logo ko apne WhatsApp group me invite kar sakte hai.
Apke duwara share kiye gaye link par jab bhi koi click karenge, to use apki group ki details dikhai denge aur invite link jo bhi click karenge. Use Join Group ke ek option dikhai dega.jaise hi we Join Group ke option par click karenge.wo apke WhatsApp group me add ho jayega.

▶ WhatsApp Group Link Ke Faide.

1. Sabse bade Faide to ye hai ki apki time save hogi.
2. Apka WhatsApp group me full members hoga. Jise apko chatting karne me maza ayega.
3. Apko ek ek karke members add karna nahi padega.
4. Apne WhatsApp group ko kisi bhi sites ya social networking sites jaise-Facebook, Google+, Instagram, Twitter etc par share kar sakte ho.
5. Apke group me active members add hone lagenge.
loading...

▶ WhatsApp Group Invite Link Kaise Create Kare ?

WhatsApp group ke invite link create karna bahut hi aashan hai , mai niche WhatsApp group invite link create karne ke liye kuch step bata raha hoon.aap us step ko carefully follow karke bahut hi aashani se aap apne WhatsApp group ke invitation link ko create kar sakte hai. Ye bilkul simple tarika hai.
Step-1
Sabse pahle aap apne WhatsApp group ko open Kare. Jis group me aap Admin hai.
Group open karne ke baad apko upar right side me (3 dot) ka icon dikhai denge.us icon par click Kare. Niche screen shot dikhe.



Step-2
Jaise hi aap (3 dot) icon par click karenge. Apko kuch options dikhai denge. In options me se Group Info par click Kare.



Step-3
Group info par click karne ke baad next page open hoga. Yahan Add Participant par click kare.


Step-4
Add participant par click karne ke baad apko Invite To group via link par click kare.


Step-5
Ab apke samne group ka link show hoga. Use copy kare. Aur social media sites par apne friends ke sath share kare.


To friends ab apka WhatsApp group invite link to create ho gaya hai. Ye bahut hi simple tarika hai.
Dosto maine is post me apko bataya ki WhatsApp group ke invitation link kya hai aur Kaise banaye. Mujhe ummid hai aap is post ke jariye invitation link ko aashani se bana sakte ho. Agar post se related koi sawal ho to niche directly comment karke puch sakte ho.mai apki help karne ke liye taiyar hoon.
Agar apko meri ye post achhi lagi hai to social media sites par apne Dosto ke sath share jarur kijiye.

SIM Card Kiske Name Par Hai ? Use Ksise Pata Kare ?

Blogger Blog Me Stylish Comment Box Kaise Add Kare ?

YouTube Kya Hai ? Aur YouTube Channel Kaise Banaye ?

Post a Comment

2 Comments