Google Gmail Par Email ID Ya Account Kaise Banaye ?Full Guide Hindi Me

Dosto shayad apko jarur pata hoga ki is technology ke yug me email ID ke bina kuch bhi kaam sambhav nahi ho sakta. Aajkal email ID har chhetra me jaruri hai , isliye aaj ki is Internet ki jamane me har kisi ke pass ek email ID hona bahut important hai, kyonki email address aaj ke jamane me college me admission, Adhar card banane ke samay ya har chhote se lekar bade kaam me apne khud ka email ID ka hona bahut jaruri ban gaya hai.
Ham jante hai ki aaj kal sabhi kaam online hi hota hai eise me agar apke pass email ID nahi hogi to aap bahut picche rah jaogi kyonki aaj ki samay me Sara kaam Internet duwara online hota hai aur Internet ke har kaam me email address ki jarurat hoti hai, email ID ke bina koi bhi kaam sambhav nahi ho sakta.

Agar apke pass email ID hai to aap bahut sare suvidha ka labh utha sakte ho.
Simple si baat hai, yaadi apko Adhar card banana hai ya kahi registration ke liye jate hai agar waha aap se email address mangi jati hai, agar apke pass email ID hai to koi problem nahi aur apka kaam ban jayega. agar apna email ID nahi hai to apka kaam nahi ban sakta.
To dosto eise bahut sare kaam hai jo hame email ID ki jarurat hoti hai, to aiye sabse pahle ye jan lete hai ki akhir email ID hoti kya hai.

▶ Email ID Kya Hota Hai ?

Ye to apko pata hai ki pahle kisi ko message dene ke liye chitthi ya patra ko post office duwara offline bheja jata tha aur ve chitthi unke pass pahuchne me kam se kam 15 din lag jata tha, lekin ab chitthi ya patra bhejne ki kaam hi email duwara kiya jata hai, bas fark itna hai ki ye email ek electronic roop le liya hai aur isse online bheja jata hai, yaani ise ham apne message ko kuch hi second ya minutes me uske pass bhej sakte hai unhe hamari message ko jaldi mil jayegi.Isliye isko electronic mail kaha jata hai. E (Electronic) Mail (chitthi) kyonki email address Internet par online hota hai.
Aise to Email ID banane ke liye bahut sare website free me offer karti hai jaise -Gmail, Yahoo, Hotmail. etc free Email ID banane ke liye jyadatar log inhi website ka use karte hai. Lekin aaj mai apko sabse popular Email service provid karne wali website Gmail ID ke bare me bataunga jo Google ki service hai.
To friends aiye jante hai Gmail par Email ID kaise banate hai.

▶Ye Bhi padhe-

Blogger Blog Me Basic Setting Kaise Karte Hai ?

Blog Post Me Dusre Post Ki Link (URL) Kaise Add Kare?

YouTube Channel ko verify Kaise Kare?
loading...

▶ Gmail Par Email ID Ya Account Kaise Banate Hai ?

Gmail Google ka hi ek service hai, isliye Gmail Account ko Google Account bhi kahte hai. Gmail par account banana bahut hi simple hai. Mai yaha Gmail account banane ke liye step by step guide bata raha hoon, aap us step ko carefully follow karna hai.
Step-1
Sabse pahle aap apne browser me Gmail. Com type karke search kare, ya yaha click kare.
Step-2
Yaha new account banane ke liye Create Account par click kare.

Step-3
Create Account par click karte hi ek form open hoga. Usme apko apni puri details bharne ke baad Next Step par click kare.


1.Name- Yaha apna name aur surname bhare.
2.Choose your username-Yaha apko Email ID ke liye username bharna hai username me apna name or number dono ko milakakar bhi bhar sakte ho. Jaise-mere Email ID -bhimsenmurmu8385@gmail.com hai. Agar error aaye to usme aur numbers daal sakte ho.
3.Create password-Ab Yaha apko apne account ke liye password bharna hai. Password kam se kam 8 characters me hona chahiye. Password me aap (123456789)(A-Z) YA simbul ka use kar sakte hai, Jaise-k1olh@! 4#?. Apko aise password daliye jo hamesha yaad rahe, kyonki apko issi password se hi aap apne Email ID ko open kar sakte ho.
4.Confirm Password-Yaha password ko dubara bhare jo upar aap ne likha hai.wahi password Yaha bhi bharna hai.
5.Birthday-Yaha apna date of birth bhare.
6.Gender-Ab Yaha Gender select karna hai.Male ya Female select kare.
7.Mobile Phone-Apna mobile number bhare kyonki is number par sms ayega. verify karne ke liye code ayega.
8.Your corrent Email address-Agar apka purana Email ID hai to vo bhare. Nahi to khali hi rahne de.
9.Prove you are not a robot-Yaha par tick nishan na lagaye, bas niche captcha code enter kare.jaise photo me likha hai.
10.Location-Yaha par country select kare. Aap kis country se hai.
11. I am agree to the Google Term of service and Privacy policy. Yaha tick mark kare.
12.Next step ki button par click kare.
Step-4
Yaha apna mobile number ko verify karna hai. Yaha par verify karne ke liye 2 options hote hai.Text message aur voice call.
Agar aap text message par click karenge to Gmail apki mobile number par code message bhejega.
Step-5
Yaha apko verification code enter karna hai, jo code apke mobile par Gmail duwara aaye hai usse enter kare.
1. Apne mobile par aaya code enter kare.
2. Continue par click kare.

Post a Comment

1 Comments