Blog Post Ko Google Search Engine Me Jaldi Kaise Show Kare ?

Hello friends sabhi blogger ko ye to pata hai ki jab bhi ham koi new post blog par publish karte hai, to post Google search engine par jaldi show nahi hota hai, post ko search engine me Index hone ke liye kam se kam 3-4 din lag jata hai.ham kitne mehnat se post likhte hai aur publish bhi karte hai, ek post likhne me kabhi kabhi 2-3 din lag jata hai, fir bhi agar hamare post ko search engine me show na ho to hame bahut parisani hoti hai, aur sabse jyada to new blogger ko hoti hai, kyoki unke pass blog post ko search engine me jaldi show karne ke liye jankari nahi hoti hai. Isliye unke post ko search engine me jaldi index nahi hoti hai.



Apne blog par visitors ko badhane ke liye hamare blog post ko search engine me jaldi show hona bahut jaruri kyoki hamare post search engine me show nahi hogi to visitors bhi nahi ayenge.agar hamari post search engine me top page par show hoga to hamari visitors bhi jyada ayenge.
Aaj ham blog post ko Google search engine me jaldi index hone ke kuch rules bata raha hoon, aap mere dwara bataye gaye rules ko follow karke apke blog ki har post ko Google search engine me first page par show kara sakte hai.
Sabhi blogger ka ek hi maksad hota hai ki unka post jald se jald search engine me show hone lage.jab tak post search engine me index nahi hoti hai, tab tak uska traffic aur visitors bhi nahi ate hai, aise isthiti me adhiktar blogger nirash ho jate hai aur apna  adhura blog ko bich me hi chod dete hai, is tarah unka bahumulya samay bhi barbaad ho jata hai, lekin ab apko is tarah bich me blagging karna chhodne ka noabod nahi ayegi.
Aaj ki is post me mai aisa tarika batane wala hoon, aap is post ke madad se apne post ko jaldi aur top page par index kara sakte ho.

▶Ye bhi padhe-

SIM Card Kiske Name Par Hai ?Use Kaise Pata Kare ?

YouTube Channel Ko Verify Kaise Kare ?

Blogger Blog Me Template Ka Color Change Kaise Kare ?

WhatsApp Group Kaise Banaye? Full Guide In Hindi


Blog Post Ko Jaldi Search Me Lane Ke Tips
Yaha mai apko kuch killer tips ke bare me batata hoon, kyoki apke post ko search engine me lane ke liye search engine ka kuch rules ko follow karna padta hai.agar aap search engine ke har ek rules ko pura karte hai to apke blog post jaldi search engine me show hogi.vo bhi search result ke first page me top par show hogi.
To aiye jante hai, ve koan-koan se tips hai.
1. Aap post ko regular share kare.
2. Hamesha fully SEO friendly post likhe.
3. Likhe gaye post me kam se kam 1000 words honi chahiye.
4. Aap hamesha new jankari wala post likhe.kyoki har visitors kuch new sikhna chahte hai.
5. Apki post title se related honi chahiye.
6. Post ki image bhi complete SEO friendly honi chahiye.
7. Post me top aur popular keywords ka label use kare.
8. Apki blog template fast loading honi chahiye.
9. Post me likhe gaye jankari specially visitors ke liye honi chahiye.
10. Post me jyada se jyada popular keywords ka istemal kare.
Agar aap upar diye gaye 10 tips ko follow karte hai to aap apne blog post ko complete SEO friendly bana sakte ho,Apki post fully SEO friendly hogi to apki post jaldi Google search engine me index ho jati hai. agar aap in 10 tips ko follow karke post likhte hai to apki post Google search engine me jaldi to show hogi hi sath hi search result me bhi sabse upar hogi. Jab apki new post complete SEO friendly hogi to apki new post par traffic badhega aur utni hi teji se apki post ko search engine show karega.
Blog Post Ko Google Search Engine Me Jaldi Index Kaise Kare?
Blog post ko Google search engine me jaldi index karna bahut hi simple aur ashan hai. Bas apko Google search console ki puri jankari honi chahiye, agar apki site aur sitemap Google search console me add hai to kisi bhi new post ko aap search engine me jaldi index kara sakte ho.
loading...
Yaha mai apko kuch step bata raha hoon.aap us step ko carefully read kare aur apne post ko Google search engine me jaldi index kare.
Step-1
Sabse pahle aap Google search console me jaye aur login kare.yaha apni website par click kare.

Step-2
Apne website par click karte hi Dashboard open hoga.yaha Crawl-Fetch as google par click jaye.




Step-3
Ab jo page open hoga usme apko jis post ko jaldi search me lana hai, uska link add karke submit karna hai.



Ab apni post ka link (url) dalne ke baad Fetch ke button par click kare.
Step-4
Ab apki post ka link fetch ke list me add ho gaya hai. yaha apko request indexing ka option dikhai dega usme click kar de.


Step-5
Index option par click karte hi ek pop up windows open hoga.



1. Yaha I am not a Robert par tick mark kare.
2. Crawl only this url ko select kare.
3. Finally Go ke button par click kar de.
Ab apka post already Google search engine me index ho gaya hai. Bas2-3 minutes baad search me show hone lagega.aap apne post ko check kar sakte hai.
Note-
Mai apko bata dena chahta hoon ki google search console ke feature se aap 1 month me 500 post ko hi index kar sakte ho, use jyada index nahi kar sakte. Mere hishab se 500 post kafi hai 1 month ke liye.
Mujhe ummid hai apko is article ke jariye apne blog post ko search engine me jaldi index kar sakte ho.
Agar Fir bhi kisi prakar ki koi problems hoti hai to aap mujhe comment karke puch sakte hai.

Ye Bhi Padhe-

Blogger Blog Me Stylish Comment Box Kaise Add Kare ?

Free Blog Website Kaise Banaye? Puri Jankari Hindi Me

Blog Post Me Dusre Post Ka Link (URL) Kaise Add Kare ?

YouTube Kya Hai ? Aur YouTube Channel Kaise Banaye?

Post a Comment

8 Comments

  1. ha aur isse hamari post rank bhi jaldi ho jayegi

    ReplyDelete
  2. Thanks for a very interesting blog. What else may I get that kind of info written in such a perfect approach? I’ve a undertaking that I am simply now operating on, and I have been at the look out for such info. google ranking

    ReplyDelete
  3. You have shared very useful article for bloggers.Thanks for sharing.

    ReplyDelete