WhatsApp Group Kaise Banaye? Full Guide In Hindi

Hi
Friends,
Aaj ki post me mai apko WhatsApp group kaise banate hai uske bare me bataunga.shayad apko pata hoga ki WhatsApp group kya hai? Agar apko pata nahi hai to aaj mai is post ke jariye WhatsApp group kya hai? Aur WhatsApp group kaise banate hai? Uske bare me jankari share kar raha hoon.
Facebook ki tarah hi aap WhatsApp me bhi group bana sakte hai, aur apne friends ke sath group me chats bhi kar sakte hai, ye to apko pata hai ki Facebook group me unlimited friends hoti hai, lekin WhatsApp group me aap limit 256 members ko hi group me add kar sakte ho.


Agar ham WhatsApp use karte hai to hame WhatsApp group banana bahut jaruri hota hai, kyonki jab ham kisi dosto ko message bhejte hai to message bhejne ke waqt ek baar me ek hi friends ko message ya video bhej sakte hai, agar ham WhatsApp group banate hai to ek baar me sabhi friends (members) ke pass message ya video share kar sakte hai, yani ek video share karne par vo video sabhi group members ke pass chala jata hai, aur ham is tarah group me chatting bhi kar sakte hai.
Aaj har kisi ke pass ek smart phone aur us par WhatsApp account jarur hota hai, agar apke pass bhi WhatsApp account hai to WhatsApp par group jarur banaye, kyonki bina WhatsApp group ke chatting karna apko maaza nahi aayega .apko to pata hai ki akela rahne me utna maza nahi aayega jitna maza apko group me aayega.jab aap school me padhne ke liye jate the to shayad wahan bhi apka school groups jarur raha hoga. Is tarah aise bahut sare groups hote hai,jaise-School Groups, College Groups, Office Groups, ya apne village wala Groups, ye sab group me jitna hi jyada members rahenge utna hi maza baat karne me aata hai.
WhatsApp group me maximum 256 members ko hi aap add kar sakte ho, agar aap WhatsApp group banate hai to aap us group ke Admin yani malik honge, aap jaise chahe waise group ko manage kar sakte ho, aap jisko chaho usko Admin bana sakte ho, aap jisko bhi chahe use group members me add kar sakte ho aur group se hata bhi sakte ho, agar aap chahe to ek se bhi jyada group Admin bana sakte ho.

loading...
▶Ye Bhi Padhe-




▶ WhatsApp Group Kya Hota Hai ?

Group ka matlab to ham sab logo ko pata hai ek aise jagah par kuch khas members ya friends sath sath rahte hai aur sath me bate karte hai ya chatting karte hai, bas aise hi WhatsApp me bhi WhatsApp par group banakar aap apne friends ko ek sath jod sakte hai.
Aap apne friends ko ek sath group me jodne se apko ek hi message alag alag sabhi ko nahi bhejna padega.aap group me ek message send karenge to sabhi group members us message ko padh lenge.

WhatsApp Group Kyo Banaye ?

Group banane se har kaam aashan ho jata hai, kisi bhi kaam ko agar ham group members ke sath kaam karte hai to kaam aashan aur mazedaar hota hai.bas WhatsApp group bhi aise hi hai. Jab ham WhatsApp par group banate hai to video ya image ko share karenge to ek sath group ke sabhi members ke pass chala jata hai, use ek ek karke bhejna nahi padta hai.
WhatsApp group ek aisa group hota hai jisme WhatsApp group ka ek Admin hota hai aur WhatsApp group banane ke baad group me members ko add karte hai. Admin jo message ya videos share karte hai to wo message group ke har members ke pass jata hai, us video ya image ko alag alag bhejna nahi padta hai.

▶Ye Bhi Padhe-



▶ WhatsApp Group Banane Ki Kuch Basic Jankari.

1.Admin jitna chahe utna WhatsApp group bana sakte hai.
2. Ek WhatsApp group me maximum 256 members honi chahiye.
3. Ek WhatsApp group me ek se jyada Admin bhi ho sakte hai.
4. Admin hi kisi members ko add aur remove kar sakta hai.
5. Only group Admin hi kisi members ko Admin bana sakta hai.
6. Sirf Admin hi kisi message ko delete kar sakta hai.
Upar diye gaye sabhi topic ka manage only WhatsApp group ke Admin hi kar sakta hai ye sab ka power Sirf Admin ke pass hota hai.

▶ WhatsApp Group Kaise Banaye ?

Yahan mai apko WhatsApp group banane ke liye step by step puri jankari bata raha hoon.ye bahut hi aashan aur simple tarika hai, aap mere duwara bataye gaye step ko carefully follow Kare.aur aap apna new WhatsApp group create kare.
Step-1
Sabse pahle aap WhatsApp open kijiye. Aur right hand side Upar me (3 dot) option par click kijiye.



Step-2
Apko kuch options dikhai denge Yahan New Group ke option par click kijiye.



Step-3
Jaise hi aap New Group par click karenge apko Add Participant me sabhi contact numbers dikhai denge.



Step-4
Ab is contact list se jise bhi aap apne group me add karna chahte hai, unhe select kare.aur Next Button par click kijiye. 



Step-5

WhatsApp group members ko select karne ke baad next page par apko apne group ka name aur profile image set karna hai. Name aur profile pic set karne ke baad aap Ok Button par click kijiye.




Note-Agar aap WhatsApp group ke icon ya Image filhal set nahi karna chahte hai to aap simply group ka name dale. Aur Ok Button par click kijiye. Icon ya Image optional hai.aap ise baad me bhi set kar sakte hai.
Step-6
Jaise hi aap Ok Button par click karenge. Congratulations apki new WhatsApp group create ho chuka hai.



Ab aap ya apke group ke members Video, Image, ya message share kar sakte hai.
Apka group banne ke baad apko we WhatsApp dashboard ke chats tab par dikhai denge.
To friends maine is post ke jariye apko WhatsApp par group kaise banaye ke bare me bataye. Aur mujhe ummid hai ki aap is post ke madhyam se aap apne bhi ek WhatsApp par new group bahut hi aashani se bana sakte ho. Agar post se related kisi prakar ki koi sawal ho to aap directly mujhe comment karke puch sakte ho. Mai apki help ke liye hamesha taiyar hoon.aur mujhe apki comment ka intijaar rahega.
Agar apko mere ye post acchi lagi hai to please apne friends ke sath Social Media par share jarur kijiyega.

▶Ye Bhi Padhe-



Post a Comment

0 Comments