WhatsApp aaj har koi use karta hai, ye app bahut popular ho chuka hai, aaj kal har kisi ke mobile phone me WhatsApp account hota hai. WhatsApp apne friends se chatting, Text messaging, video calling, Images sending, karne ka bahut achha jariya hai. Aaj lagbhag 90 % log apne mobile phone me WhatsApp use karte hai, kyonki aaj ke samay me WhatsApp ek badiya option hai apne message ko friends ya family tak puhchane ka WhatsApp me ham WhatsApp group bhi bana sakte hai aur us group me bahut sare members ko add kar sakte hai, taaki ham apne message ko ek ek karke bhejna na pade.jab ham WhatsApp group banate hai, to video ya text message sending karne me aashani hoti hai.jab ham apne banaye gaye group me video ya Image bhejte hai to ek baar me sabhi group members ke pass chala jata hai, aur is tarah hamare time bhi bach jata hai. Isi wajah se aaj kal har koi WhatsApp use karte hai.
Aaj ham is post me WhatsApp ke bare me kuch jaruri jankari batane ja raha hoon ki 1 mobile phone me 2 WhatsApp account kaise use karte hai, aise to aap jante hai ki WhatsApp har koi use karte hai aur har kisi ke pass WhatsApp account hai. Lekin aaj mai apko 1 mobile phone me 2 WhatsApp kaise chalaye uske bare me bataunga. Kyonki ek WhatsApp account use karne se kai baar hamare samne problem aati hai. Agar ham ek mobile phone me 2 WhatsApp account ko use karte hai to bahut achha hoga aur hamare har kaam aashan hoga.
Agar hamare mobile phone me 2 WhatsApp account use karte hai, to sabse khash baat ya hai ki ham apne account ko 2 hisso me bant sakte hai. Yani ki hame hamari personal life aur hamari professional life ko 2 alag alag hisse me rakh sakte hai. Isliye hame 2 WhatsApp numbers ki jarurat hoti hai, ek WhatsApp number se ham apne friends or family members se jude rahte hai aur dusre WhatsApp number se ham apne business ka kaam kar sakte hai.
Agar aap bhi apne mobile phone me 2 WhatsApp account ko use karna chahte hai, aur inke bare me apko jankari nahi hai to chinta karne ki koi jarurat nahi hai.aaj mai apko is article ke madhyam se puri details me tarika bataunga ki kis tarah 1 mobile phone me 2 WhatsApp account use kar sakte hai.
Agar aap bhi apne mobile phone me 2 WhatsApp account chalana chahte hai to aiye jante hai ki 1 mobile phone me 2 WhatsApp account kaise chalate hai.
loading...
▶WhatsApp Group Kaise Banaye? Full Guide In Hindi▶ 1 Mobile Phone Me 2 WhatsApp Account Kaise Chalaye?
1 mobile phone me 2 WhatsApp account chalane ke liye mai apko kuch simple steps bata raha hoon. Ab android mobile phone par aise feature available hai ki ham sirf ek hi mobile phone par 2 WhatsApp account ko use kar sakte hai. To friends aiye 1 mobile phone par 2 WhatsApp account kaise use karte hai, uske bare me mai details se bataunga.
Yahan par mai apko sabse pahle 1st WhatsApp account kaise use karte hai, uske bare me bataunga.
▶ Mobile Phone Me 1st WhatsApp account kaise use kare ?
1. 1st WhatsApp account ko chalane ke liye sabse pahle aap WhatsApp ko Google play store se download karke install kare? Ya yahan click kare.
2. Install hone ke baad open kare.
3. Yahan apne mobile number enter karke apna 1st WhatsApp account banaye.
▶ Mobile Phone Me 2nd WhatsApp Account Kaise Use Kare ?
1. Sabse pahle aap Google play store se Parallel space -multiple account & two face, app ko download karke install kare.
Niche Link par click karke app ko download kar sakte hain
2. Ab app ko open kare.fir Start button par click karke next page par jaye. Niche screen shot me dekhe.
3. App open hone ke baad kuch clone apps show hogi. Clone apps me ek WhatsApp bhi hogi. Aap WhatsApp ke icon par click kare.
Ab apko niche Add to parallel space ki button dikhai denge.us button par click kare.
Ab apko niche Add to parallel space ki button dikhai denge.us button par click kare.
4. Jaise hi aap parallel space par click karenge. Fir new page open hogi. Yahan Fir se WhatsApp ka icon show hogi. Aap us WhatsApp icon par click kare.
5. Ab apko Agree and continue button par click kare.
6. Ab yahan 2nd WhatsApp account ke liye 2nd mobile number enter karke Next button par click kare.
7. Ab jo page open hoga. Usme apko verification code enter karna hai.use enter karke verify kare.
Ab apka 2nd WhatsApp account create ho gaya hai. Ab aap 1 mobile phone me 2 WhatsApp account use kar sakte ho.
To friends maine is post me 1 mobile phone me 2 WhatsApp account kaise use karte hai ? Uske bare me apne jankari share ki hai. Mujhe ummid hai ki aap bhi is post ke madhyam se apne mobile phone me 2 WhatsApp account bahut aashani se use kar sakte hai.
Agar apko is post se related koi sawal puchna ho to aap mujhe comment karke directly puch sakte hai.
Agar apko ye post achhi lagi hai to apne friends ke sath social media par share jarur kijiyega.
Agar apko ye post achhi lagi hai to apne friends ke sath social media par share jarur kijiyega.
▶Ye bhi padhe-
0 Comments