YouTube Channel Ko Verify Kaise Kare?

Hello guys mai pahle bata chuka hoon ki YouTube channel kya hai ? Aur YouTube channel kaise banaye?
To dosto aaj ki is post me mai apko YouTube channel kaise verify karte hai uske bare me batata hoon. shayad apko pata hai ki YouTube par pure world me sabse jyada video share ya upload kiye jate hai, YouTube ek aise website hai jisme per day ek millions se jyada videos upload hota hai aur YouTube par aap har tarah ki videos ko dekh sakte hai.



Agar aap bhi apne YouTube channel banate hai to aap apne channel ko verify karna padta hai kyoki jab aap YouTube par channel batate hai to aap YouTube ke partner ban jate hai, aap apne video ko YouTube par upload karte hai aur YouTube apka video ko logo tak puhchane ka kaam karta hai, yani aap YouTube ke sath business karte hai, jab aap YouTube par videos upload karte hai aur log apke video ko pasand karte hai ya apke video ko jyada view milta hai to YouTube apke video view ke hisab se paisa bhi dega.
YouTube se paise kamane ke liye apko apne video par ads lagane honge, YouTube video me ads lagane ke liye apko monetization karna padta hai, aur monetization karne ke liye apka YouTube account verify hona chahiye.

Ye Bhi Padhe -

YouTube Kya hai ? Aur YouTube Channel Kaise Banaye ?

Blogger Blog Ka Template Kaise Change Kare ?

SIM Card Kiske Name Par Hai Use Kaise Pata Kare ?

Youtube Channel Ko Verify Karne Ka Faida.

YouTube channel ko verify karne se bahut sare faide hote hai, agar YouTube channel ko verify karte hai to aap usme lambi video ko bhi upload kar sakte hai, agar aap YouTube channel ko verify nahi karte hai to 15 minutes se jyada lambi video upload nahi kar sakte ho, aur monetization enable nahi kar sakte hai.
Jab ham YouTube channel ko verify karte hai to aise bahut sare features hai jo YouTube channel verify hone ke baad on hota hai, to dosto un features ke bare me thoda bahut jaan lete hai.

Partner Verified -Agar hamare account verified hota hai to YouTube ke najro me ham fake hahi hai aur YouTube ke partner ban jate hai, account verified hone par kai new features enable ho jate hai.

Monetization - Agar aap YouTube se paise kamana chahte hai to apko apne video par ads lagane padte hai, aur ads lagane ke liye video ko monetize karna padta hai, tabhi aap YouTube ke partner ban sakte ho.

Copyright Claims -Agar apke video ko koi copy kare to aap copyright claims kar sakte ho.

Longer Videos -Jab tak aap YouTube channel (account) ko verify nahi karte hai tab tak aap 15 minutes se jyada lambi videos upload nahi kar sakte hai, agar aap apne channel ko verify karte hai to aap 15 minutes se jyada lambi video bhi upload kar sakte hai.

External Annotations -Ye YouTube ka ek features hai, isme ham apne YouTube video ke upar link add kar sakte hai, agar apko isme apne website ka link add karna hai to apka YouTube channel verified hona chahiye.

Custom Thumbnails -Agar apka YouTube channel (account) verify hai to aap apne video me custom thumbnails laga skate hai.

Paid Content -Paid content me aap jis video ko upload karenge, agar koi us video ko dekhenge to us video ke liye wo paisa dena padega, is tarah aap paid content ke dwara paisa bhi kama sakte hai.

Content ID Appeals -agar koi apke video ko download karke apne channel me upload karta hai to aap YouTube me report kar sakte hai, aur us video ko aap delete karwa sakte hai.Is tarah aap apne video ko chori hone se bacha sakte ho.

Live Streaming -apka YouTube channel verify hone ke baad aap isme live show bhi set kar sakte hai.

Fan Funding -Is features me jo apke video ko paisa dekar dekhenge to video me ads nahi aate hai, ye features YouTube monetization hone ke baad hi aap use kar sakte hai.

loading...
Ye Bhi Padhe-

Blog Post Me Dusre Post Ka Link (URL) Kaise Add Kare ?

Free Blog Website Kaise Banaye? Puri Jankari Hindi Me

Blogger Blog Me Stylish Comment Box Kaise Add Kare ?

Youtube Channel (Account) Verify Kaise Kare ?

YouTube channel ko verify karne ke liye mai yaha kuch step bata raha hoon, aap yaha niche diye gaye step ko carefully follow Kare. 

Step-1
Sabse pahle aap www.youtube.com par jaye aur apne youtube account me sign in Kare.

Step-2
Sign in karne ke baad ab yaha upar right side kone me profile icon par click Kare. Fir setting icon par click Kare.



Step-3
Setting icon par click karte hi Overview ka page khul jayega. Yaha View Additional Features par click Kare.



Step-4
View additional features par click karte hi status and features ka page open ho jayega. Ab aap yaha verify par click Kare.



Step-5
Verify par click karte hi Account verification ka page open ho jayega, yaha par apni kuch information fill up karna hai, sabhi details bharne ke baad Submit par click Kare.



1. Apna country select Kare.

2. Yaha verification ke liye 2 option hai, unme se kisi ek ko select Kare. Call ya SMS kyoki us me Google se ek code ayega.

3. Apna mobile number dale.

4. Ab Submit par click kar de.

Step-6
Submit par click karte hi ek new page open ho jayega. Yaha par ( 6 digit ) ka verification code dalna hai, jo code apko sms dwara prapt huwa hai. Use dale aur submit par click kare.


Step-7
Jaise hi aap submit par click kareng, apko ek message dekhayi dega.Congratulations ! Your youtube account is now verified .niche screen shot me dekhe.



Ab Yaha Continue par click kare. Apka youtube account verify ho jayega.
Mujhe ummid aap is post ke jariye apne youtube account ko ashani se verify kar sakte hai, fir bhi agar kisi prakar ki koi problem hogi to comment karke puch sakte hai. Mujhe apko help karne me khushi hogi. Aur is post ko apne dosto ke sath share karna na bhule.

Android Mobile Phone Se Zip File Ko Xml Me Kaise ConveConvert Kare ?

Blogger Blog Me Template Ka Colour Change Kaise Kare ?

Post a Comment

1 Comments