Blogger Blog Me Template ka Color Change kaise kare

Aaj ki post me mai apko blog template ka color kaise change karte hai,uske bare me vistar se batane wala hoon, kyoki jab aap blogger.com me blog banate hai,to waha apko pahle se moajud bahut sare template mil jati hai,un template me se koi bhi ek template ko aap apne blog ke liye select karte hai,lekin uska color apki pasand ka nahi hoti hai, aise situation me aap apne blog template ka color change karna chahte hai, lekin apke man me ek sawal ata hai ki ham apne blog template ka color kaise change kare.Taaki hamare blog acha dekhne lage.


 


loading...
To friends aiye aaj ki article me mai apko blog template ka color sath sath bahut sare chijo ka color jaise -Main color,Menu color,Footar color,Body color, Header color Outer color,Link color, etc.Color ko change kaise karte hai,uske bare me bataunga. Mai apko jo tarika batane wala hoon, vo bahut easy tarika hai, aap use follow kare or apne blog ke liye man pasand color choose kare. mai apko blog template ka color change karne ke liye step by step bata raha hoon.Blog ka template change karne ke liye sabse pahle aap blogger.com me jakar login karke dashboard me jaiye. Step-1.yaha aap template (theme) par karke fir customise par click kare.


 


2.customize par click karne ke baad ek naya page khul jayega.


 


3.Yaha aap advanced par click kare. 

4.Advanced par click karne ke baad fir ek page khul jayega.Isme kuch is tarah ka options show hoga.

 


1.Background 

 2.Link 

 3.Blog title 

 4.Tabs text 

 5.Post 

 6.search 

 7.sharing


 Step-5.Yaha par aap ek ek karke tab par click kare or apko apne pasand ka color customise kijiye. 
 Agar apka blog me link ka color red color ko blue me dikhana hai,to iske liye apko setting karna padega.Isko setting liye apko link tab par click karna hai or waha par apko color select karna hai. 

6.Apne pasand ka color select karne ke baad apply to blog par click karke save kare. Ab aap blog ko view karke dekh sakte hai ki aap ne jo color setting kiya hai vo color show ho raha hai ya nahi. I hope ki is post ke jariye aap apne blog template ka color change kar liye honge.  

To friends apko ye article kaise lagi, aap Mujhe comment karke jarur bataye or is post ko apne Dosto ke sath share karna na bhule.

Ye Bhi Padhe -

Free Blog Website Kaise Banaye - Puri Jankari Hindi Me

Post a Comment

2 Comments