Blog Post Me Dusre Post Ka Link (URL) Kaise Add Kare

Hello friends aaj ki post me mai apko ek
eisa jankari bataunga, jo apki blog post ke liye bahut important hai, khaskar ye post new blogger ke liye hai, eise blogger jo blog to bana lete hai ,lekin blog ko achhe se manage nahi kar pate hai, kyoki uske pass sahi jankari nahi hoti hai,






To Dosto is post me mai apko blog post me link kyo aur kaise add karte hai, uske bare me vistar se bataunga, agar aap new blogger hai to is post me apka sawagat hai, aaj mai jo tarika share kar raha hoon, iske bare me blogger ko janna bahut jaruri hai,sabhi blogger ka blog banane ke baad ek hi ichha hoti hai, ki hamare blog post ko jyada se jyada page views mile.
Agar aap new post likhte hai aur usme dusre post ka links ko add karte hai to visitors ko apki blog me dusre post ka link mil jata hai, agar visitors apki post ko pasand karta hai to ve us link ko click karta hai, aur ek hi post me dusre jankari mil jata hai, kahi search karne ki jarurat nahi padti hai,is tarah se visitors apki blog ko adhik time tak visit karta hai, isme apka aur visitors dono ka faida hota hai.
Popular blog sites me aap ne jarur dekha hoga ki 4-5 dusre post ka link add kiya hua rahta hai, jo ki har post me link add karna blog ke liye achha hota hai.
Blog Post Me Dusre Post Ka Link add karne se visitors ko ek hi blog post me bahut sare new jankari mil jati hai, aur apki blog ka search engine ranking bhi increase hoti hai, or blog ka traffic badane ke liye new post me dusri yani old post ka link add karna bahut jaruri hota hai, taaki apki post ko achha view mile.

loading...
Free Blog Website Kaise Banaye - Puri Jankari Hindi Me

SIM Card Kiske Name Par Hai ? Use Kaise Pata Kare ?

Blogger Blog Me Basic Setting Kaise Karte Hai ?

Post Me Dusre Post Ka Link Kyo Add karte hai ? Aur Link Add Karne Se Kya Faida?

New post me dusri purana post ka links add karne se bahut faida hai.
1. Post me dusri post ka links add karne se blog ka traffic badta hai.
2. New post me dusri old post ka jankari milne ki wajah se visitors hamare blog me adhik time tak visit karta hai. Isse hamari bounce rate achhi hoti hai.
3. Dusre Post ka link add karne se search engine me page ranking achhi hoti hai.
4. Visitors dusre post ko kahi search karne jarurat nahi hoti hai, kyoki ek hi post me dusri jankari mil jati hai.
5. Dusre post ka links add karna SEO ke liye bahut jaruri hota hai.

Blogger Blog Me Stylish Comment Box Kaise Add Kare ?



Blog Me Internal Link Kaise Add Kare?

To Dosto agar aap bhi apne post me dusre post ka links add karna chahte ho to mai apko bataunga ki post me internal link kaise add karte hai.Eise to post me link add karna bahut hi easy hai, lekin jo new blogger hai, uske liye to yah bahut muskil hai.agar apko link add karne me muskile hoti hai, to aap chinta na kare.mai apko step by step bataunga.aap mere bataye gaye step ko follow karke ashani se link ko add kar sakte ho.
Step-1. Sabse pahle aap apne Gmail ID blogger.com me login kare, uske baad dashboard me jaiye.
1. Ab new page par click kare. Jaha aap post likhte hai, us option par





2. Ab link par click kare.
Step-2. Link par click karte hi ek popup page open hoga.aap niche screenshots me dekh sakte ho.








1. Text to display:- Yaha par aap jis post ka link ko add karna chahte ho,uska title likhe.
2. Link to :-which URL should this link go to? :- Yaha par apko jis post ka link ko add karna hai, usko copy karke paste kar de.
3.Web Address :- Yaha aap Web address ko select kare.
4. Email Address :- Agar apko post ke liye Email Id dalna chahte ho to aap yaha Email address dal sakte ho.
5. Test This Link :- Yaha aap jo link add kiye ho.ve kaam kar raha hai ya nahi aap us link ko test kar sakte ho.
6.Open This Link In A New Window :- Agar aap chahte hai ki post ko padne ke liye kisi dusre window me open ho jaye to yaha tick kare.
7. Add-'rel=nofollow'attribute :- Agar aap     chahte hai ki is post ko search engine Index na kare.to nofollow par tick kar sakte ho.
8. Ab OK button par click kare.
   Mai asha karta hoon ki apko ye article achha laga.Aur is post ke jariye aap internal link ko add karna sikh gaye honge. Mujhe ummid hai aap ab aap kisi dusre post ka links ko share kar sakte ho. Agar apko koi parisani ho ya is post se related kuch sawal puchna chahte ho to comment jarur kare. Aur is post ko Dosto ke sath share karna na bhule. Taaki unko bhi is post se related jankari mile.
    
Ye bhi pade:-






.







Post a Comment

0 Comments