Hello friends, Isse pahle ki post me mai aap logo ko bataya tha, ki YouTube channel (Account) ko verify kaise karte hai?
To dosto aiye aaj ki is post me mai android mobile se YouTube par video kaise upload karte hai, uski jankari aap logo ke sath share kar raha hoon.
To dosto aiye aaj ki is post me mai android mobile se YouTube par video kaise upload karte hai, uski jankari aap logo ke sath share kar raha hoon.
Ham sab ko pata hai ki YouTube bahut hi popular aur bada video hosting website hai aur YouTube 2006 se ab tak Google ka hi ek service hai, YouTube par hamare jaise sadharan vyetiyo ke dwara hi daily ek millions se jyada videos ko upload karte hai aur YouTube par video upload karke lakho rupya bhi karate hai.
Agar apke pass bhi koi kala hai ya koi achhi achhi new jankariya hai aur aap apne kala ya jankari ko video ke madhyam se logo ko batana chahte hai to apne video ko YouTube par upload karna padega.
Agar aap ne bhi koi video banaya hai aur apke pass computer nahi hai, aap apne banaye gaye video ko mobile phone se YouTube par upload karna chahte hai to ye post apke liye helpful sabit ho sakta hai, aap is post ko dhyan se padhe.
▶YouTube par video upload karne ke liye apke mobile me YouTube ka mobile app hona chahiye, aise to Android mobile me pahle se hi YouTube ka application moajud rahta hai, agar mobile me YouTube app hai to achhi baat hai aur jinke mobile me YouTube app nahi hai to ve Google play store se YouTube app ko download kare.
▶Ye bhi Padhe -
Youtube app ko download karne ke liye niche kuch step bata raha hoon.us step ko follow kare.
Step-1
YouTube app ko Install karne ke liye Google Play Store me jaye.
Step-2
Play store me Jane ke baad search box me Youtube likhe aur search kare. YouTube Google ka service hai, isliye yaha aap Google inc, ke YouTube app par click kare. Niche screen shot me dekhe.
Step-3
Ab Install ke button par click karke YouTube app ko install kare. Apka YouTube app install ho jayega.
Ab apke mobile me youtube app to Install ho gaya hai.Ab ham sikhenge ki youtube par mobile se video kaise upload karte hai .
▶Ye Bhi Padhe -
▶Youtube Par Mobile Se Video Kaise Upload Karte Hai ?
YouTube par mobile se video upload karne ke liye step by step bata raha hoon. Aap us step ko follow karke apne video ko youtube par ashani se upload kar sakte hai.
Step-1
Sabse pahle aap mobile par Youtube app ko open karke login kare. YouTube par login hone ke liye upar right side kone me 3 bindu (dots) par click kare. Fir Sign in par click kare.
Step-2
Sign in karne ke baad upar right side me profile icon par click kare. Fir upload icon par click kar de. Niche screen shot me dekhe.
Step-3
Upload icon par click karte hi fir ek new page khul jayega. Yaha aap Select Files to Upload par click kare.
Step-4
Ab select files to upload par click karte hi files ka kai options ayenge. Yaha Apka video kis file me hai us option ko select karke jis video ko aap youtube par upload karna chahte hai us par click kar de. Niche screen shot dekhe.
Step-5
Ab youtube par jis video ko aap upload karna chahte hai us par click karte hi Apka video upload hona start ho jayega. Aur ek new window khul jayega.
1. Apka video kitna percent upload huwa hai, apko yaha se pata chal jayega.
2. Yaha par apne video ka title likhna hai.
3. Yaha par apne video se related jankari likhna hai, jaise apke video me kya hai ya Apka video kis se related hai.
4. Yaha par apne video me tag add karna hai. Jaise Apka video comedy hai to yaha comedy video, likhe. Agar apka video funny hai to funny video likhe.
5. Yaha se aap apne video me ye set kar sakte hai ki apke video ko kon dekh sakta hai.
6. Yaha se aap apne video ko Google+ aur twitter jaise social networking sites par share kar sakte hai.
7. Puri setting karne ke baad ab publish par click kar de.
Ab apka video youtube par upload ho chuka hai.
To friends aap ne is article ke jariye youtube par video upload karna to Sikh liya hoga. Fir bhi agar kisi prakar ki koi problem hogi.to comment karke puch sakte ho.
Agar apko ye jankari achhi lagi hai to social media sites par share jarur kare.
Agar apko ye jankari achhi lagi hai to social media sites par share jarur kare.
▶Ye Bhi Padhe -
0 Comments