Mobile Se Facebook Page Ko Kaise Delete Kare ? In Hindi

Dosto pichli post me maine aap logo ko bataya tha ki Facebook page kaise banaye ?  Lekin aaj ki post me Facebook page ko kaise delete karte hai, uske bare me vistar se bataunga. Agar apke pass faltu ka Facebook page hai aur aap us page ko delete karna chahte hai to ye post apke liye helpful sabit ho sakta hai.
Maine bhi blogging start karne se pahle Facebook par ek page banaya tha, Lekin  maine us page ko delete kar diya, kyonki ab mai blogging karta hoon, aur mai apne blog ke naam se Facebook par ek new page bana liya hoon.jis page ko maine pahle banaya tha, vo page abhi mera koi kaam ka nahi raha, isliye maine us page ko delete kar diya. Aise hi bahut sare log hote hai jo apne Facebook page ko kai karno se delete karna chahte hai, jaise ki agar kisi ne 1 years palhe Facebook page banaya tha aur us page par daily ya 2-3 days me Images, Videos, Status etc post kar rahe hai phir bhi agar uske page par like nahi aa rahe hai to ve us page ko delete karna chahegi.ya aise hi kai reasons se log apne Facebook page ko delete karna chahte hai.
Aise bahut sare log hai jo apne Facebook page ko delete karna chahte hai,  par unke pass page ko delete karne ki jankari nahi hoti hai to aise situations me ve log duvidha me pad jati hai aur Facebook page ko delete karne ki jankari Internet par search karti hai. Isliye mai is helpful jankari aap logo ke sath sajha kar raha hoon.
loading...
To friends aiye ab mai bataunga ki mobile phone se Facebook page ko kaise delete karte hai.

Mobile Aur Computer Se Attractive Facebook Page Kaise Banaye ?

Bina SIM Card Ke Call Kaise Kare ?

SIM Card Kiske Name Par Hai ? Use Kaise Pata Kare ?

▶ Mobile Phone Se Facebook Page Ko Kaise Delete Kare ?

Agar aap bhi apne Facebook page ko delete karna chahte hai to mai yahan apko bahut hi simple tricks bataunga. Jiske madad se aap apne Facebook page ko ashani se delete kar sakte ho. Page banana jitna ashan hai, usse bhi kahin jyada ashan hai page ko delete karna.
.Facebook page ko delete karne ke liye yahan mai apko kuch steps bata raha hoon.aap mere duwara bataye gaye steps ko carefully padhe aur apne page ko delete Kare.
Step-1
Sabse pahle aap apne Facebook  app ko open karke login kare.
Step-2
Ab upar right side corner me 3 line ke icon par click kare. Iske baad apne page ke name par click kare. Jaise ki yahan screen shot me dikhaya gaya hai.
Step-3
Ab jo page open hoga. Usme More par tab kare.
Step-4
Jaise hi aap More par click karenge. Phir ek page open hoga. Yahan Edit Setting par click kare.
Step-5
Edit setting par click karne ke baad phir ek page open hoga. Yahan General par click kare.

Step-6
General par click karne ke baad phir ek page open hogi. Yahan Remove Page milegi. Ab niche Delete par click kare.

Step-7
Ab phir ek page khulegi. Yahan Delete Page  par click kare.
Step-8
Ab apke samne page entered deletion mode. You can cancel the deletion within 14 days= Iska matlab yah hai ki aap ne apne Facebook delete karne ke liye apply kar diya hai. Ab vo 14 days ke baad delete ho jayega. Lekin yadi aap 14 din se pahle deletion cancel karke restore kar sakte hai. 

Dosto Facebook page ko kaise delete karne wali article apko kaise lagi. Agar apko Facebook page delete karne me koi problems hoti hai to aap mujhe comment karke puch sakte ho. Agar apko meri ye information achhi lagi ho to social networking sites me apne friends ke sath jarur share kare.


Post a Comment

4 Comments