Youtube Kya Hai? Aur YouTube channel Kaise Banaye?

Youtube bahut hi popular video shajha karne ka ek website hai, youtube par daily lagbhag millions videos upload aur share kiye jate hai. Iski sthapna February 14/2005 ko huyi thi.youtube ab tak 13 shaal ka shafar tay kar liya hai aur ye bahut hi vishvasniy website hai.
YouTube ki sthapana paypal ke 3 purv Employees-Chad Hurley, Steve Chen, aur Jawed Karim ne kiya tha. Iska headquarter San Bruno Colifornia United States me hai aur YouTube puri world me video hosting service deti hai.
Google ne YouTube ko November 2006 me US $1.65 billion dollar me kharid liya hai aur 2006 se ab tak YouTube Google ka hi ek service hai.
To Dosto ab ham youtube channel banane se pahle youtube channel kya hai? Uske bare me batate hai.

YouTube Channel Kya hai ?
Agar aap bhi apne banaye gaye videos ko YouTube par share ya upload karna chahte hai to ye janna jaruri hai ki akhir YouTube channel kya hai.
YouTube channel ek profile ki tarah hai, aap apne channel Profile picture, Description, Title, Logo etc daal sakte ho.aur aap apne channel par videos upload kar sakte ho. Jab bhi koi apne channel par visit karenge, use apke channel ke Description, ya Title se unko pata chalta hai ki apki channel par kis tarah ki videos upload kiye jate hai ya apka topic kya hai.
loading...
Youtube Channel Kaise Banaye ?
Dosto youtube kya hai? Aur YouTube channel kya hai? Ye to apko pata chal gaya hoga, ab ham apko YouTube par channel Kaise banaye jate hai, uske bare me batate hai. YouTube par channel banana bahut hi aashan hai, yaha mai apko kuch simple steps bata raha hoon. Aap us step ko dhyan se padhe aur apne YouTube channel create kare.
Step- 1
Sabse pahle aap www.youtube.com par jaye aur sign in option par click kare.




Step- 2
Yaha YouTube par login karne ke liye plus Google account ka istemal karna padega, kyoki youtube ek Google ka service hone ke nate, yaha apka《+Google ka profile khulega usme apko Gmail Login/Password dale aur sign button par click kare.



Step- 3
Jaise hi aap sign in par click karenge fir ek page khul jayega usme Upar right side ke profile Icon par click kare.



Step- 4
Us icon par click karne ke baad fir ek page khul jayega. Yaha aap apne name par click kare.



Step- 5
Ab jaise hi aap apne naam par click karenge.to is tarah ka ek page open ho jayega. Yaha create a new channel par click kare.



Step- 6
Ab apke samne fir ek page khul jayega, yaha apko apne YouTube account create karna hai, yaha ab Brand account name ke samne wale box me apna channel ka name likhe aur create bottom par click kare.



Step- 7
Jaise hi aap create bottom par click karenge. Apka youtube channel ban kar tayar ho chuka hai. Aur apke samne is tarah ka page khul jayega. Aap niche screenshots me dekh sakte hai.



Mujhe ummid hai apko ye post achha laga hoga. Aur aap is post ke jariye apne YouTube channel ashani se bana sakte hai, agar apko channel banane me koi parisani hoti hai to Mujhe comment karke puch sakte hai. Mujhe apko help karne me khushi hogi. Agar apko ye post achhi lagi hai to apne Dosto ke sath share jarur kare.

▶Ye Bhi Padhe-

Blogger Blog ka Template Kaise Change Kare?

Android Mobile Phone Se Zip File ko Xml File Me Kaise convert kare?

SIM Card kiske name par hai? Use Kaise Pata Kare?

Post a Comment

1 Comments

  1. hello bhai mera bhi blog blogspot par hi hai but ye samjh lo ki jitne bhi log blogspot par blogging kar rahe hain sirf apna samay barbad kar rahe hain aur kuch nahi isliye blogspot ko chhodo aur wordpress par chalo, aisa nahi ki main ye yun hi kah raha hoon ye mera 1.5+ year ka experience hai maine blogspot par sirf time hi barbad kiya hai. iska pata mujhe tab chala jab maine apna wordpress blog banaya .

    ReplyDelete