Android Mobile Phone Se Zip File Ko Xml File Me Kaise Convert Kare ?

Hello friends aaj ki article me mai aapko ek aise tarika batane ja raha hoon, jo apko blogger template change karne ke waqt kaam ayegi.
Aise bahut sare blogger hai, jinke pass computer / Laptop nahi hai ya computer/Laptop ko ghar me chhod kar kahi bahar chale jate hai, ya aise bhi bahut sare blogger hai, jo mobile phone se blogging karte hai, to aiye Dosto aaj ki post me Zip File ko Xml File me Kaise change karte hai, uske bare me batate hai,





Jab ham blogger blog ki template ko change karte hai ya upload karte hai, to Blogger only Xml File ko hi support karti hai. Lekin jab ham kisi website se template ko Download karte hai, to wo Zip File me hota hai.Jab tak aap Zip File ko Xml File me convert nahi karte hai, tab tak apka template upload nahi hoga.
Zip File ko Xml File Me convert karne ke liye Computer ya Laptop ki jarurat hoti hai, tab aap Zip File ko Xml File Me change kar sakte ho. Lekin ab apko chinta karne ki jarurat nahi hai, aap apne blogger template ko Android phone se bhi upload kar sakte ho. Agar aap Android mobile phone se blogging karte hai, aur apne old blogger template (theme ) ko change karna chahte hai, to mai apko bataunga ki Android smartphone se Zip File ko Xml File me kaise convert kare ? Ya change kare?

▶ Ye Bhi Padhe -





loading...
▶Zip File Ko Xml File Me Kaise Badle ?
Android mobile phone se Zip File ko Xml File Me convert karna bahut hi easy aur simple tarika hai. Mai yaha apko bahut hi simple steps ko bata raha hoon. Aap is step ko dhyan se padhe.
Step-1:-
Sabse pahle aap WinZip naam ke ek android app ko Google play store se Download karke Install kare.
Step-2 :-
WinZip app ko Install karne ke baad apne pasand ka koi bhi ek template ko Download karle, aur WinZip app ko open kare.




Step-3 :-
Yaha aap SD Card ko khole aur jaha aap apne template ko download kiye hai, us folder ko open kare. Vo Zip File Me hogi. Niche screenshots me dekh sakte ho.




Step-4 :-
Ab aap ne jo template Download kiye hai, us par click kar de.




Step-5 :-
Jaise hi aap Zip template par click karenge. Apko template Xml File Me dikhayi dega.ab aap us Xml File par tick kare . aur niche UnZip option par click kare.




Step-6 :-
Jaise hi aap UnZip option par click karenge to apke samne SD Card aur kuch options  dikhayi dega. Ab yaha SD Card par click kare aur jis file me Template ko save karna chahte ho, us file ko open karke niche UnZip Button par click kar de. Ab apka template Zip File se Xml File Me convert ho chuka hai. Aap niche screenshots me dekh sakte hai.
Mujhe ummid hai ki aap bhi apne android phone se Zip File ko Xml File Me ashani se convert kar sakte ho. Agar apko mere ye article pasand aya hoga. To apne Dosto ke sath share kare. Taaki unko bhi ye jankari mil sake.

▶ YeBhiPadhe-





Post a Comment

1 Comments

  1. This information you provided in the blog that is really unique I love it!! Thanks for sharing such a great blog Keep posting..
    wholesale mobile phones onlines

    ReplyDelete