Free Blog Website Kaise Banaye-Puri Jankari Hindi Me

Hello Dosto aaj ki is post me mai apko free me blog website kaise banate hai,uske bare me batane wala hoon, vo bhi sirf 10 minutes me eise to blog website banana bahut aashan hai, lekin jo new log hai, aur usko Internet ke bare me utna jankari nahi hai, to uske liye blog banana bahut muskil kaam hota hai, agar aap blog banana chahte hai, aur apke pass sahi jankari nahi hai, to aap chinta na kare.mai apko sirf 10 minutes me kuch simple click ke sath blogger.com platform par free me blog banana sikhaunga.





Blogger.com Google ka hi ek service hai, jo hame free blog website banane ki service provide karta hai, ye bilkul free hai, aap sirf 10 minutes me blogger.com par blog bana sakte hai.




▶Blog Kya Hai ?
Blog banane se pahle ye janna jaruri hai ki akhir blog kya hai, Blog kise kahte hai, Blog me kya - kya hota hai,
To Dosto aiye blog kya hai, uske bare me batate hai,
Blog ek website hai, jis par aap apne vicharo, Jankariya, Anubhavo ya apne kimti sujhavo ko logo tak puhchane ka ek online jariya hai, ham jante hai ki purane jamane ke log apne Vicharo, Sujhavo, Anubhavo, Jankariya etc chijo ko dairy me likhte the wah sirf dairy me hi rah jata tha, unki jankari logo tak nahi pahuch pata tha, lekin aaj kal Internet ki jamana hai, aap apne kimti sujhavo ko blog ke jariye logo tak online share kar sakte ho. Isse dusre logo ko bhi faida hota hai, aur apki popularity bhi badti hai.
Agar apke blog ko achha traffic milta hai, ya adhik log apke blog ko pasand karta hai, to aap blog ke jariye online ghar baithe paisa bhi kama sakte ho.
loading...
▶ Blog Website Kyo Banana Chahiye ?
Agar aap apne jankari ko logo tak puhchana chahte ho ya apne experience ko dusro ke sath online share karna chahte ho, to Internet par apka blog hona bahut jaruri hai,
Agar aap blog banate hai, to ye sare chij aap kar sakte ho. Jaise -
1. Aap blog ke jariye online paisa kama      sakte ho.
2. Aap online business kar sakte ho.
3. Aap pure world me popular ho sakte ho ya aap duniya me naam kama sakte ho.
4. Aap apne kimti sujhavo, Experience,  Jankari, etc ko pure world ke sath share  kar sakte ho.
Agar aap apne vicharo ko online pure world ke sath share karna chahte ho, to blogging bahut achha jariya hai.
▶ Blog (Website) Banane ke Liye Kin-Kin
   Chijo Ki Jarurat Hoti Hai ?
  Blog banane ke liye apke pass ye  3
  Chijo ka hona jaruri hai.
1. Gmail account
2. Computer/Laptop
3. Internet Connection
    Agar apke pass computer/Laptop nahi
    hai, to aap mobile se bhi blog bana
    ho, lekin apke mobile me 3G/4G Internet
    support karta ho.
▶ Blog (Website) Kaise Banaye ?
Agar apke Gmail Account hai, to aap ashani se blogger.com par blog bana sakte ho.
Blogger. com par blog banane ke liye step by step bata raha hoon. Aap is step ko follow karke ashani se blog bana sakte ho.
Step- 1
Sabse pahle apne browser me blogger.com type karke search kare. Ya yaha click kare.www.blogger.com
Step- 2
Create new blog par click karke apne Gmail Account se login kare.





Step-3
Ab login karne ke baad ek naya windows khulega. Waha new blog par click kare.
Step- 4
New blog par click karne ke baad fir ek pop up windows open hoga. Yaha par apko new blog ke liye complete detail fill up karna hoga. Jaise - Blog title, Blog address, Template etc. Aap niche screenshots me dekh sakte ho.





1.Title :-
Title me new blog ka naam  likhna
hai, jaise mere blog ka name  apna
web 4 help hai, waise hi aap apne new blog ke liye ek achha sa name rakhe.
2. Address :
Yaha aap blog ka kya address dena chahte ho, uska link (URL ) set karna hai, jaise - mera URL hai, apnaweb4help.blogspot.com
Yaha apki URL blogspot. com hi rahega baad me costume domain set karke charge kar sakte ho.
Blogspot par lakho log blog bana chuke hai, isliye aise address choose kare.jo pahle se kisi ka na ho, fir bhi yadi error aye to aap link me 123 ya koi or word dal sakte ho.
Note- Aap jo bhi URL dalenge. Aap use yaha par dekh sakte hai . Agar available hai to (This blog is available) nahi hai to (This blog address is not available)
4.Template/Theme:
Yaha se apne blog ke liye koi bhi ek template/theme ko choone.baad me aap template ko change kar sakte ho.
5. Complete details setting karne ke baad Create Blog par click kare.
6. Jaise hi aap create blog par click karenge.to apka blog bankar tayar ho chuka hai, aur is tarah se dashboard open ho jayega. Aap niche screenshots me dekh sakte ho.




Ab aap yaha apne blog ke liye new post par click karke post likh sakte ho.


Ab mai apko Dashboard ke options ke bare me kuch jankari bata deta hoon.
1. View Blog: -Yaha click karne par aap apne blog ko dekh sakte ho.
2. Post, New Post :-Yaha click karke aap new post likh sakte ho. Aur jo bhi aap post karenge ve yaha show hoga.
3. Stats :-Yaha click karne se kitna page view howa hai aur kitna visitors ate hai, visitors kaha-kaha se ate hai, ye sab aap dekh sakte ho.
4. Comments :- Is option par click karne se aap apke blog par kitna comments aye hai, dekh sakte ho.
5. Earning :- Online paisa kamane ke liye Adsense account yaha se apply kar sakte ho.
6. Campaigns :- Yaha click karke Google ad word se connect kar sakte ho.
7. Pages :- About us, Contact us, Disclaimer page or Privacy Policy etc pages yaha se bana sakte ho.
8. Layout:- Yaha click karke blog website ka design ya sidebar me kuch bhi add karna chahte ho to is option se kar sakte ho.
9. Template/Theme:- Yaha se aap template ko change or edit kar sakte ho.
10. Settings :- Yaha meta tags, Title, Description, Custom domain aur bhi bahut sare options hai settings me.
Mujhe ummid hai apko ye post achha laga hoga. Aur is post ke jariye blog banane ki puri jankari mil gayi hogi. Ab aap bhi free blog bana ker apne jankari ko logo ke sath share kar sakte ho.
Agar apko koi parisani hoti hai, to comment jarur kare apko help karne ke liye hamesha tayar rahunga.aur is post ko apne Dosto ke sath share karna na bhule.

Ye bhi Padhe -



Post a Comment

4 Comments